Tuesday, November 13, 2007

ranjish hi sahi

Ranjish hi sahi dil hi dukhaanay kay liyay aa
aa phir say mujhay chhorr kay jaanay kay liyay aa
pehlay say maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay kay liyay aa
kis kis ko bataayengay judaai kaa sabab ham
tu mujh se khafaa hai to zamaanay kay liyay aa
kuchh to meri pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaanay kay liyay aa
ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay kay liyay aa
ab tak dil-e-khush_feham ko tujh say hain ummeedai
ye aakhari shammain bhi bujhaanay kay liyay aa

1 comment:

Gaurav Krishna Bansal said...

Ye ghazal waakai badi khoobsoorat hai aur zindgi ka sach bhi bayaan karti hai.